Kash kuch aisa karishma hota,
Kisi ko banwane ke liye khuda ko order dena hota,
Tujh jaisa hi ek dost banwata mai khuda se khud ke liye,
Bhale hi uski kimat me dena apna jaan hota.
Jaane kyu log hame aajmate hai
kuch pal sath rahne ke baad dur chalejate hai
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
log barish ko bhul jate hai…
Aaj ki raat mera darde mohabbat sunle
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
aaj izhare khayalat ka mouqa de de
ham tere shahar me aaye hai musafirki tarah…
Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !
Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !
Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !
Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !
Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !
Kahte hain eh waqt hai ek dhupchhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !
Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!